Monday, August 28, 2006


apne honthon pe sajana chahta hoon
aa tujhe mai gungunana chahta hoon
..
tere daman pe gira ke ek aansoo
boond ko moti banana chahta hoon
..
thak gaya hoon karte karte yaad tujhko
aab tujhe mai yaad aana chahta hoon
..
chaa raha hai saree basti me andhera
roshni ko ghar jalana chahta hoon
..
akhri hichki tere jano pe aaye
maut bhi mai shayerana chahta hoon

0 Comments:

Post a Comment

<< Home